Hindi poems, poems about Hindi, funny Hindi poems

If you need Hindi Poems then your search ends here at allbestmessages.co. This page is all about Hindi Poems. We have recently added new short Hindi Poems.


Hindi Poems

Ab humein neend nahi aati, Bas ek dastoor hai jo nibhana padta hai, Subah hone hi wali hai, par humein to, In armaanon ko bhi sulana padta hai, Na jaane kabse humein intezaar hai unka, Paas ho kar bhi, unhein bulana padta hai



*****************



Tumhare khwabon mein.. Aasra mil gaya hai.. Tumhare ehsaas ne.. Manzil dikha diya hai.. Tumhare ishq ne.. Mujhe apna bana liya hai



*****************



Mere pehlu mein bhi ek shama jala karti h Jiski lou se teri tasveer bana karti hain, Samne tere zuban band hi rehti hai magar, Dil ki jo baat hai wo aankh bayan karti hai, Chup kyu ho humse koi baat karo ae-dilwar, Aise khamoshi se to takleef badaa karti hai, Shamma jalti h to zamane ko pata chalta h, Dil k jalne ki khabar aakhir kisko hua karti h



*****************



aaj phir kisee ka gam, apana banaane ko jee karata hai, kisee ko dil mein, bithaane ko jee karata hai, aaj dil ko kya hua, khuda jaane, bujhatee huee shama, phir jalaane ko jee karata hai, aaphaton ne, jarjar kar diya ghar mera, usakee darodeevaar, phir sajaane ko jee karata hai, ek muddat guzaree, jisaka saath chhoota, aaj phir, usaka saath paane ko jee karata hai!



*****************



Na amiro ki basti mein rhta hu Na hi gareebo ke aashiyane mein Middle class ka hu Middle mein rhta hu Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu Na hi aakhar mein khada rhta hu Middle class ka hu Middle mein rhta hu Na croro ka kabaar hai Na hi gulabi note hazar hai Middle class ka hu Meri jarurate saman hai



*****************



Ek chand taro sang saja hai
Dusra chand ghar mein raza hai
Ghar ke chand se hai itni guzarish
Hone de palko par sapno ki barish
Khuda uske sapne khud sajaye
Sab khwab uske sach ho jaye
Isi pyar bhare izhar ko padhkar
Ae chand soja ab odh ke chadar




*****************



Hu Peela peela pyara pyara
Suraj ki or hai mera chehra
Deta hu main sabko tel
Meri urja ka hai sab khel
Kheto mein hu main lehrata
Suraj mukhi hu main kehlata




*****************



Tum ho ek anmol angoothi
Ya phir uska koi nageena
Tum si nahi hai koi anoothi
Kaatil kafir koi haseena
Ankhei tumhari kaari kajrari
Chal tumhari badi matwari
Ek bar jo tum kuch bolo
Jaise sahnt mein mishri gholo
Ho tum bade hi nakhre wali
Tumhari hai har baat nirali




*****************



When I look into your eyes;
I sense the comfort and warmth I've Longed for,
to the point I can hardly speak
you make my knees weak.




*****************



Na Pucho Ki Manzil Kaha Hai,
Abhi To Bas Safar Ka Iraada Kiya Hai.
Na Haarenge Hausla Umra Bhar,
Kisi Aur Se Nahi Khud Se Vaada Kiya Hai...




*****************



Ye Naadani Kyu Gunaah Si Lagti Hai,
Har Baat Mein Aah Si Lagti Hai,
Hum Mar To Nahi Gaye Uski Yaad Mein Fir Bhi,
Aise Kyu Nikalti Hui Jaan Si Lagti Hai..




*****************



Koi maazi hai,na farda hai na imroz koi
Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin
Jao dunya se kaho, loot li baazi tumne
Nasiro jashan karo haar gaye dil waley
Khawhish zeest saredaar karo sheher ke bech
Aur is katal per raqsaan raho taa-marg sabhi
Jao be-fikr raho aur manadi kardo
Ab koi raat kabhi subah ka peiman nahin bandhey gi
Koi tareeki kisi noor ki khawhish nahin karpayegi
Ab koi subah neyi subah nahin kehlaaye gi




***************



Gum ki andheri raat me
khud ko na yu bekarar kar,
subha zarur aigi
tu bas thoda intazar kar.....




***************



Meri mohabbat hai wo, koi majboori tu nahi
Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori tu nahi,

Yeh kya kuch kam hai k basa hai meri saanson me
Ab Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori tu nahin,

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat py
Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori tu nahi,

Ab tu nikal k aankhon se,yaadon main ja basa wo
Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori tu nahi,

Us k ghar ki taraf uthte hi ruk jaaty hain kadam
Badnaami sy us ki darta hoon,koi maazoori tu nahi,




*****************



Badnaam Zamany Me Mohabbat Nahi Karty
Dil Wale Toh Dushman Sy Bhi Nafrat Nahi Karty

Aik Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karty

Tanhiye Me Karty Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karty

Waqt Aane Py Yeh Maloom Hojayega Tumhy
Hm Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karty

Likhty Hain Faqat Tumhary Liye Ghazalein
Har Shaqs Py Hum Aisi Inayat Nahi Karty




*****************



Koi deewana kehta hai,koi paagal samjhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus pagal samjhta hai

main tujhsy door kaisa hoon, tu mjhsy door kaisi hai
ye tera dil samjhta hai, yaa mera dil samjhta hai

Muhabbat aik ehsasson ki pawan si kahaani hai
kbhi kabira deewana tha, kbhi meera diwani thi

yahaan sb log kehty hain meri aankhon main aasoon hain
jo tu samjhy to moti hai, naa samjhy to paani hai

samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta

meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahi sakta




*****************



Sb Sy Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj Tu Mujh Rula Diya,

Lehje Sy Uth Raha Tha, Har aik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha K Kuch Ganwa Diya,


Awaz Main Thihrao Tha, Aankhoon Main Nami Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhula Diya,

Jane Kya Us Ko, Logon St Thi Shikayatein
Tanhaiyon K Dais Main Khud Ko Basa Diya,

Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kr, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itny Logon Main Tanha Bana Diya,

Sb Sy Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.




*****************



Choti si galat fehmi kar degi juda hm ko
Halaat itne badal jayngy, maloom na tha hm ko,

Kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?
Jise chaha pal bhar main tod diya is ko

Jo aik lamhe ke liye bhi door na hote thai
Aaj le jana pada unhein judai k ghum ko

Kbhi apne hi raste per bichaye thai hum ny phool
Aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko

Ab to aik dard aur takleef rehti hai is dil mein
koi to aaye, marham lagaye is zakhm ko.




*****************



Tu jaane na ki kaun hai tu, phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu, honge gulshan me gul hazaar, in gulo ka gulaab hai tu, Tu na jane ki kaun hai tu, sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu, Hoti hai jab amaawas ki raat to, Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu.



*****************



Kuchh pal saath chale to jaanaa, Rastaa hai jaanaa pehchanaa . Saanso ko sur de jaataa hai, Tera yo.n sapano mai.n aanaa. Maine jatan kiye to lakho.n Mann ne meet tumhi ko maanaa Ab to haath thhaam lene do Aur kaho na , na na , na na.



*****************



Ek dooje ke liye ham, Haath main kangan ke jaise, Pyaas main sawan ke jaise, Roop ko darpan ke jaise, Bhakt ko bhag_van ke jaise. Jheel si simtee na baitho, Kuchh baho na . Kuchh kaho na .



*****************





Quotes Collection

SMS Of The Day

Email:

Subscribe and receive sms of the day in your inbox.
Collection of
     Sweet, Cool, Cute Text Messages, Sad, Punjabi Msgs, Hindi, Romantic, Mobile Cell Phone Msg
Quotes Collection