Hindi Poems on Friendship

If you need Hindi Poems on Friendship then your search ends here at allbestmessages.co. AllBestMessages is all about Hindi Poems on Friendship. Just read the full collection of Hindi Poems on Friendship below. Keep visiting our site because we are updating Hindi Poems on Friendship daily on our site.


Hindi Poems on Friendship

Aakhir tum kyu itne dil k paas ho, Koi to vajah jarur hai, jo tum itne khas ho. Mere dosto mein sabse pehle tumhara hi naam aata hai, Rabb ki kasam humara pichle kai janmo se nata hai. 6th class mein rabb nae mujhe tujhse milaya tha, Aur uss mulakat mein hi tujhe meri zindagika hissa banaya tha.



*****************



Ishq Aur Dosti Meri Zindgi Ke Do Jahan Hain, Ishq Meri Rooh Toh Dosti Mera Imaan Hai, Ishq Pe Kar Doon Fida Apni Saari Zindgi, Magar Dosti Pe Toh Mera Ishq Bhi Qurbaan Hai.



*****************



Dosti Dard Nahi Khushiyon Ki Saugat Hai, Kisi Apne Ka Zindgi Bhar Ka Saath Hai, Ye Toh Dilon Ka Woh KhoobSurat Ehsaas Hai, Jiske Dam Se Roshan Yeh Saari Kaaynat Hai.



*****************



dostee pyaar ka meetha dariya hai pukaarata hai hamen aao, mujhamen nahao, doobakee lagao pyaar ka saundha paanee haathon mein bhar kar le jao. aao, jee bhar kar gota lagao, mauj-mastee kee shankh-seepiyaan jebon mein bhar kar le jao.



*****************



Koi kehta hai Dosti nasha ban jati hai, Koi kehta hai Dosti saza ban jati hai, Par dosti karo agar sach dil se Tho zindagi zine ki wajah ban jati hai.



*****************



Saari Duniya ki Muskaan Tare pass hai, Ye Zameen or Asman Tere Paas Hai, Gham na karna k tujhe yaad nahin krtey Aye dost mari to JAAN bhi tere pass hai.



*****************



Pyaar Aur dosti me itna farak paya hai,
Pyaar ne sahara diya hai tho,
Dosti ne sath nibhaya hai,
Kis rishte ko gehra kahun yaaron,
Ek ne Zindagi to dusre ne jina sikhaya hai.




*****************



Kabhi dost kehte ho,
Kabhi bewaqt nind se jaga dete ho,
Kabhi dua dete ho,par jab bhi karte ho ,
Khuda ki kasam -zindagi k sare ghum bhula dete ho




*****************



Kinaro Par Sagar Ke Khazane Nahi Aate
Phir Jivan Me Dost Purane Nahi Aate
Jee Lo In Palon Ko Has Ke Janaab
Fir Laut Ke Dosti Ke Zamane Nahi Aate




*****************



Who is a Dost?
Dost vo jo bin bulaye aaye,
Bevajah sar khaye,
Jeb khali karwaye,
Kabhi sataye,
Kabhi rulaye,
Magar hamesha saath Nibhaye.




*****************



Kuch Saalo Baad,Ye Pal Bohot Yaad Ayenge,
Jab Hum Apne Apne Mukaam Per Phunch Jayenge,
Akele Jab Bhi Honge,
Sath Guzre Hue Lamhe yaad Ayenge,
Paise To Bohot Honge Shayad,
Par Karcha Karne Ke Lamhe Kam Ho Jayenge,
Aaj Zyada Mesg Ane Se Gussa Hote Hain,
Kal Ek-Ek Mesg Ko Taras Jayenge,
Ek Cup Chai yaad Dosto Ki Dilayegi,
Fir Sochte Sochte Ankhe Naam Ho Jayegi,
In Palo Ko Mil Kar Dil Khol Kar Jee Lo Yaaro,
Kyun ki Zindagi In Dino Ko Fir Nahi Dohrayegi.




*****************



Mujhe aawaz De Dena
Kabhi icecream lao to,
Kabhi Murghi pakao to,
kabhi picnic pe Jao to,
Mujhe awaz De Dena,
wallet Main Maal ziyada ho,
Jo shopping ka irada ho,
Kabhi Dawat Mein Jana ho,
Ya kisi ko Dinner pe Bulana ho
Mujhe awaz De Dena
Kabhi kisi se ho larna,
To mujhe Disturb Mat karna,
Kisi shadi Mein Jana ho,
Jaise hi start khana ho,
Mujhe awaz De Dena.
Mujhe tum bool Mat Jana.
Suno tum bool Mat Jaana




***************



Gham Kay SAGAR Me Khbi Doob Na Jana
Khbi MANZIL Na Pao To Toot Na Jana
ZINDGI Me Agr Mehsoos ho Kami Dost ki
Abi Hum ZINDA Hain Ye BhooL Na Jana.




***************



Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,
Khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.

Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,
Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.

Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
Sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!




************



Who ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,

Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain

Zindagi to ek khwab hai,
Woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,

Hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
Kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay




************



dost ban kar bhi nahin saath nibhan-e-valaa
vahi andaaz hai zalim kaa zaman-e-valaa

ab ise log samajhate hain giraftar mera
saKht nadiim hai mujhe daam mein lan-e-valaa

kya kahen kitane marasim the hamare is se
vo jo ik shaKhs hai munh pher ke jan-e-valaa

muntazir kis kaa huN Tuutii hui dahaliiz pe main
kaun aayega yahan kaun hai aan-e-valaa

main ne dekha hai baharon mein chaman ko jalate
hai koi Khvab ki tabir batan-e-valaa




************



YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey




************



Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya




************



Natkhat hai, Pyari hai,Gudiya rani hai,
Sab se alag who deewani hai,

Titliyo ki tarah udti hai,
Kabhi idhar -kabhi udhar milti hai,

Hasti hai hasati hai humko bhut satati hai,
Hai bhut choti par khud ko bada samajti hai,

Hamare har sukh -dukh mein,
Sath chalne ki kosish karti hai,

Karte hai hum bhi us se bhut pyar,
Sai Ram sabko de us jaisa yaar ....




************



dosti karo to dhoka mat dena
dosto ko ansu ka tohfa mat dena

dil se roye koi tumhe yad karke
aisa kisi ko mouka mat dena

dosti to sirf itefak he
yeto dilo ki mulakat he

dosti nahi dekhati ye din he ki rat he
is meto sirf vafadari or jajbat he

dard kafi he jindgi ke liye
dost jaruri he jindgi ke liye

kon marta he kiske liye
ham to jinda he sirf aap jaise dost ke liye




************



Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,

Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.

Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
Sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,

Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!

Who ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,

Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain




************



Phulo Se acchi Us Ki Khushbu,
Kaliyo Se Pyari Uski Muskaan,

Sitaro Sa Chamakta Hua Chehra,
Koyal Si Meethi Zubaan,

Chand Bhi Chhup Jaye Ye Keh K,
Aasman Pe Ab Kya Mera Kaam,

Chandni To Aa Nikli Zameen Se,
Kaisi Hai Ye Qudrat Ki Shaan,

Fursat Se Banaya Hoga Rub Ne,
Farishto Ka Nahi Ye Kaam,

Phulon Ne Bhi Hasrat Se Dekha Hoga,
Pariyo Se Sunder Ye Insaan.




************



Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?




************




Hindi Poems on Friendship

Now we take care all your needs. We research team do online research and get best Hindi Poems on Friendship We keep updating our site All Best Messages regularly for Hindi Poems on Friendship. We are sure that you will recommend this site to your friends if you like our database of Hindi Poems on Friendship. Please keep visiting this site again and again for Hindi Poems on Friendship. We have added large collection of Hindi Poems on Friendship because our users insist to add this category as well on site.
Children Hindi Poems
Patriotic Hindi Poems
Hindi Poems on Nature
Hindi Poems on Friendship
Hindi Poems For Kids



Quotes Collection

SMS Of The Day

Email:

Subscribe and receive sms of the day in your inbox.
Collection of
     Sweet, Cool, Cute Text Messages, Sad, Punjabi Msgs, Hindi, Romantic, Mobile Cell Phone Msg
Quotes Collection